Thursday 9 August 2012

Parchayi....


Main hoon iss tanhai ka musafir
dhoondta hoon tera nishaan
Kis qadar ki yeh ruswai hai
Main phir bhi teri parchayi hoon

Kuch waqt tha zindgi ka
Meri manzil mera muqadar thi woh
Par kaun samjha yeh dil ki baatien
Kyu ban gaye hum ajnabi

Main ik ghumsuda sawal raha
Par unka ek khayal raha
De panah abb mujko bhi
De wajood mere shabado ko

Woh kehti hai abb bhula de mujko tu
Mitta de abb in shabado ko
Abb main toh badal gayi
Abb tu  bhi badal jaa

Abb woh hi bataye  "Kaise Kahe Alvida" Unki yaadon ko.......

No comments:

Post a Comment