Thursday 24 May 2012

Saawan...

Yeh ghumon ke mausam guzar jaaye, Aur khusiyan phir se aa jaayen
Saare rishte jaise gal jaaye, Aur tukdon mein hum bikhar jaayen
Kai saal ik pal mein simat jaayen, Aur ik pal mein kai saal guzar jayen
Aur tu aise yaad aaye,Jaise saawan chaaye,
Barse jab bhi paani toh lage, Jaise tu gaaye

Wednesday 23 May 2012

mercy pressure.... :P

Hume toh bhud se college ki, chadhai maar gayi
Aage jaa kar woh naa dikha, judaai maar gayi
Uske baad C.S.T ke paper ki, likhai maar gayi
Phir bhojia mein daanto ki, safai maar gayi
.
Aur abb S.I.S ki section D, bhaad mein gayi....

Sunday 20 May 2012

the combo...

Happy:

Socha ki un ke liye kuch likhe,
Par abhi bhi ruhh mein kuch suroor sa hai.
 Socha ki abb na unko dekhe,
Par abhi bhi in ankoon mein junoon sa hai.
Socha abb khuda uttha le iss mazar se hume.
 Par abhi bhi is dil mein sakoon toh hai......

 Sourabh:

 socha ki abb is ruh ko hi mita de
 Per abhi bhi is jahan me humara likhe nagme to hai . . .
socha ki ab kuch kisi or ke liya likhe
per abhi bhi is dil me jajbaat sirf unke liya hain....

 Pallavi:

 socha ki abb to in sanso ko rok lu..
par abhi bhi in sanso me zinda to whi hai...

 Hema:

 socha k abb alvida kahe unhe par yeh dil hai ki..
 nazare unke chehre se hatne k ijazat hi nahi deta

 Sushmita:

 socha ke do pal tehrun kardun tukde iss dil ke ....
ki kuch na rahe darmiyaan,
 Na koi gile na koi shikwae,
 apne hone ko hi mitta dun ki kuch na rahe darmiyaan, ...
 ki kissi ka dil na dukhe...
par kambakht mere buss mein ni hai
 kaash hota toh kissika dil na dukhaana padta ........
par kuch cheezein iss duniya mein hain jo mere buss mein ni hain.....
 hazaaron khwahishein aisi hain ki har khwahish pe dum nikle....
 par jaate jaate achchi nishaaniyan de jayein yahi khwahish hai ........

 Lalit:

 Mazbooriyaa teri bhi hain,, janta hun,,
 Mazbooriyaa to uski bhi hain,,kusoor tera nhi,, pta hai mujhe,,
Galtiyan to uski bhi hain,,
Agr chah liyaa usne tujhe to khud ko naa tod,
,Dil dukhtaa hai uska pr tu umeed to naa chod,,
Dil mein tere kya hai-kya nhi,, pta nhi,,
Par dil mein nishniyan to uski bhi hain,,

Saturday 19 May 2012

Waqt......

Ruk jaa, Ruk jaa ae-waqt, Tham jaa, Tham jaa ae-waqt
Abhi toh kuch hua hai...
Abhi toh woh meri nazroon ko dikha hai....
Abhi toh iss taraf dekh kar woh muskuraya hai.....
Abhi toh kuch sakoon mila hai.....
Khush hai ae-dil, par kab tak...
Dhadkane tez hai par kab tak....
Kal woh bichad jayega, dil wahi ruk sa jayega...
Ruk jaa, Ruk jaa ae-waqt, Tham jaa, Tham jaa ae-waqt....

Wednesday 16 May 2012

Berukhi...

Khada hoon aaj bhi unhi rahoon mein, Tera intezaar karta,
Phir bhi laboon par tere kisi aur ka naam hai,
Socha yahi chala jaoon ub rahoon se,Jis par abb tera sath nahin,
Par yeh nadaan ghum-e-wafa dil ko tham lete hai,
Aur tute huye dil ko naya anzaam dete hai,
Wafaa toh ab bhi utni hi hai hum mein,
Par sayaad abb yeh dil kuch tutne sa laga hai
Tham le abb in rahoon par ae haseen,
Nahin toh hum is berukhi ki hawa mein,
Nahin toh hum is berukhi ki hawa mein,
Rateh ki tarah bhikhar jayege............

Friday 11 May 2012

The beginning....



Tu mere taraf dekhe ek nazar ,toh mein apni sansee tham bhi loo
Par tera hasna phir wahi sama yaad dilata hai, phir wahi dil apna tham ke baith jata hoon
Chal koi aur hi tujhe kush rakhe, mein usi mein kush hoo jata hoon
Par jab tere nazar pade iss taraf toh main wahi ruk sa jata hoon
Tere ishq ne jana phir wahi manzar dekha diya, mein roohte roohte tujhe hi yaaad kar jata hoon
Kehthe hai dost, wohh kisi aur ki hai, par usi mein teri wafa aapnata hoon
Chal tu usi mein kush rahe, mein tujhe salaam kar jata hoon....


https://plus.google.com/b/104496211789929461698/104496211789929461698/posts