Thursday 2 August 2012

Judaai.... (woh aakhri lamhe)


Labon par mere naa koi sawal tha
Dil mein unka khayal tha
khabar kahan thi mujhe woh aage dikh jayege
Pata nahin tha mujhe ki aaj woh chale jayege

Jab mili toh umar bhar ki duaaye dete rahi
Zubaan humari kuch naa bol paaye aankhen num si ho gayi
Woh bhi muskura kar badi dair chup rahi
Hansi ki aad mein jaise kuch chupati rahi

Phir woh chala gaya, Yaadien apni de gaya
Barsaat ke mausam mein ghum-e-dil de gaya
Suna hai aajkal bahut tanha hai woh
Jis ek shakhs  ko dil ke paas rakhta tha

Pyass jo yeh ghum ki hai abb baarisho se bhi bhujti nahin
Chalo koi dawa hi le kar dekhte hai, sharab pee kar dekhte hai
Chod abb unki la-parwaahi ke gile Ae-maariz-e-ishq Happy
loo aaj hum hi unhe phir se yaad kar lete hai, yaad kar lete hai.... ;)

No comments:

Post a Comment