Friday 15 November 2013

Sum Favs

<1>

Humne jo ki thi mohabbat, aaj bhi hai
Unki zulfo ke saaye ki chahat aaj bhi hai
Raat kat ti hai aaj bhi khayalo me unke
Deewano si woh meri halat aaj bhi hai
Kisi aur ke tasawwur ko uthati nai
Beimaan aankho me thodi si sharafat aaj bhi hai
Chah ke ek baar chahe fir chod dena tu
Dil tod unhe jaane ki ijaazat, aaj bhi hai.....

<2>

Woh aaj humse mile anjanon ki tarah,
hum yunhi raah take baithe the deewanon ki tarah, 
har nigah mein aur duur chale jaate hain, 
humse nazar churate hain beimanon ki tarah, 
hum yunhi raah take baithe the deewanon ki tarah

<3>

Woh kehte hain KABHI AUR...
KABHI AUR hota nahi!!
Dil bhi to nadan unke siva KABHI AUR Khota nahi...
Hum Mangte hai ek saans,ek Dhadkan,ek Nigaah...
Wo KABHI AUR De jaate hai...
Parr yeh Kambakht KABHI AUR..KABHI AUR Hota Nahi.


Random Khayal....



Yeh dilo ke mamle hai
Zara tabiyat se peesh aaya kijiye
App toh chale jaate aada dekha ke
Dil kaye bekhar jaate hai aapke jaane ke baad


Yeh jo dard aapne diya hai
Abb uski dawa bhi de dijiye
Arre apne iss mariz ka
Haal toh pooch lijiye....

yeh jo chahato ke sile hai
khud hi toh dil pe liye hai
abb dil yeh  zakmi hai
aur aankhon me narmi hai


Tere Baad Bhi...




Wahi sama, wahi kahani tere baad bhi
Wahi ghum, wahi tanhayi tere baad bhi

Tere saath thi jo jafa mohtarama
Abb ghum usi ka hai tere baad bhi

Wahi jam, wahi gazal tere baad bhi
Wahi kami, wahi khamoshi tere baad bhi

Mere paas hai jo khusi tere khatir
Abb bas wahi yaadien hai tere baad bhi

Wahi aarzoo, wahi tamana tere baad bhi
Wahi aas, wahi dilaasa tere baad bhi

Tu shayad aab badal gaya ae-dost
Main wahi hoon abb teri qasam ,tere baad bhi ….


Friday 11 October 2013

Naa Hum Pehle Se Rahe


Naa khwaish pehli si rahi
Naa farmaish pehli si rahi
Naa waqt pehla sa raha
Naa.... hum pehle se rahe

Naa sama humare sang raha
Naa sanam humare sang raha
Naa yaadien pehli si rahi
Naa.... hum pehle se rahe

Naa  koi dost hum sa raha
Naa hum kisi se rahe
Naa kabhi waqt thamta raha
Naa.... hum pehle se rahe

Naa mehfil pehli si rahi
Naa jaam pehle se rahe
Naa sharab me nasha raha
Naa.... hum pehle se rahe

Naa kadam peche rahe
Naa manzil aage rahi
Naa hum kabhi ruke rahe
Naa ....hum pehle se rahe...


Sunday 2 June 2013

Zara....



zara mud
              dekh iss taraf
rukka koi hai
                    dekh iss taraf
waqt nahin wahan
                        par, dekh iss taraf
kahani wahi hai
                       par, dekh tu iss tarf


waqt badla hai
                       par, hum nahin
woh aadmi hi kya
                       jisse saamma bhula de
woh aashiqui hi kya
                       jisse waqt badal de
haan wahi hoon main
                       zara mud ke dekh


kahani wahan bhi hogi
                          par hum jaisa kahan
mila koi aur bhi hoga
                          par hum jaisa kaun
agar saboot chahiye
                         dil pe hath rakh ke dekh
dhadkane hogi tez
                         tu mud ke toh dekh


koi has ke palat jaate hai
                       koi dil se baat laga lete hai
himmat toh ussme hai
                       jo thokkar has ke sehte hai
dekh tu palat ke
                       hum jaisa kahan koi
aayege hum yaad bahut
                       tu mud ke dekh....



Thursday 23 May 2013

Do Lafzon Ki Meri Kahani....



Waqt beet-tah hai
Saama badalta hai
Jo apna lagta hai
Woh hi bichadta hai

Haan kehna tha usse kuch
Do lafzoon ki meri kahani

Ik zidd meri hai
Lafz dil mein hai
Ik gehra khayal hai
Bas teri hi yaad hai

Haan kehna tha usse kuch
Do lafzoon ki meri kahani

Dooriyan abb darmiyan hai
Bahahon mein woh aur ki hai
Kismat ka khel ajab yeh hai
Ya kahani adhori mere lafzon ki hai

Milunga tujhe toh poochna kabhi, poochna kabhi
Kya thi meri,  do lafzoon ki kahani....
Kya thi meri,  do lafzoon ki kahani....


Tuesday 14 May 2013

Zara Mud Ke Toh Dekh....



Zara mud ke toh dekh
Khada hoon unhi rahoon mein
Abb toh rahoon mein bhi berukhi hai
Phir bhi abb yeh apni si lagti hai

Zara mud ke toh dekh
Ik musafir main hu tera
Aur abb teri chahat mein yeh,
Berukhi bhi apni si lagti hai

Zara mud ke toh dekh
Aa tham in haathon ko
Rahoon ko bhi abb dekha du 
Kya meri chahat hai
Tu hi bas intzaar ke kaabil hai

Zaara mud ke toh dekh
Meri aankoh mein abb bhi
Tasveer teri hi basti hai 
Dil mein tu hi ghar karti hai

Zara mudke toh dekh
Ehsaas tera hi ek baaki hai
Door bahut tu humse hai
Aarzo teri hi baaki hai

Zara mud ke toh dekh
Baatoh mein meri tu hi
Har baar mud ke aati hai
Abb isse kismat kahu
Yaa ibadat teri....jo har jagah tu hi nazar aati hai......