Saturday, 13 October 2012

Panah.... & Tanhaiyan....

PANAH....



Tere khwahishon mein khawahish kiski hai, nahin jaanta
Tere saanson mein riwayat kiski hai , nahin jaanta
Tere chahton  mein panah kiski hai, nahin jaanta
Tere haathon mein inayat kiski hai, nahin jaanta

Meri mohabbat mein numaish kyu nahin, nahin jaanta
Mere lafzon mein paimaish kyu nahin , nahin jaanta
Meri chahat hai dil se dil ke liye, tu nahin jaanta
Mere dil ko tere deedar ki farmaish kyu hai, nahin jaanta....

TANHAIYAN....


Kyu dekhta hoon tera khawab
Kyu aata hai tera khayal
Kab bayan hogi yeh haqiqat
Kab aayega mujhe yeh yakeen
Rahega mere saath yeh ghum
Katega safar mera sang tanhaiyan

Abhi umar hi kya hai meri
Aur zaalim zindgi ne kitna de diya
Khawab, Khayal, Haqiqat ,Yakeen
------Ghum AUR Tanhaiyan.......


No comments:

Post a Comment