Tuesday 28 August 2012

Fursat....


Baat yeh saalo pehle ki hai
Raah par chale the hum sakoon se
Dikha humhe woh door se
Aawaaz kuch ajeeb si aayi ruhh se

Nazare mili unse yuh kuch humari
Aankein jhukhi phir dono ki humari
Mat pucho yaaro uss waqt ka bayaan
Bas nazare hi mili ,Aur hum barbaad ho gaye

Abb fursat mein sochte hai
Lamhe jo pehle se dil mein hai
Aazaag phir se junoon ka hota hai
Nazron mein abb bhi woh saaf nazar aata hai

Sunday 26 August 2012

Faraz....(DilSe Dil Ke Liye)....



Mujhse naa pooch mere dil ka fasana
Abhi bhi hai tera ikk afsana
Naa cheez hai dil yeh mera
Phir kyu hai jeene ka tu hi bahana

Raahoh ki teri umeede hai abb bhi
Muskuraaton pe teri jeete hai abb bhi
Bhool gya kya mujko, Teri gazal hu main
Gaa-u-Gaa tujhe tu aisi faraz hai ... :)

Saturday 25 August 2012

Abhi Hum Zinda Hai....


Kya hua jo saath choot gaya
Milege kabhi, Abhi hum zinda hai
Kya hua jo saath tu naa chala
Chalege kabhi, Abhi hum zinda hai

Umeed hi umeedo ko thame hai
Poori hogi kabhi, Abhi hum zinda hai
Hum roz teri yaadon mein bikharte hai
Simatege kabhi, Abhi hum zinda hai

Kahani lafzon mein mukhtasir hai
Likhge kabhi, Abhi hum zinda hai
Abb bhi hum tum kuch ajnabi se hai
Jaanege kabhi, Abhi hum zinda hai

Hakikat-E-Fasana sunaaya nahin tumhe kabhi
Sunaayege kabhi, Abhi hum zinda hai..............

Friday 24 August 2012

Basar....


Kahan chal diye
Yeh sile tod ke
Bas phir ek nazar
Uss mode pe
Kuch lamhe safar ke
Yaad hai magar
Kuch nahin yahaan
Agar tu nahin idhar

Sang the tere
Safar mein uss
Phir bhi alag the
Ek-Duje se magar
Kya hota saama
Sang hote agar
Kuch nahin yahaan
Agar tu nahin idhar

Ek hi safar hai
Par manzil alag
Ek hi jaan hai
Par humsafar alag
Ho rahi hai yuh
Zindgi humari basar
Kuch nahin yahaan
Agar tu nahin idhar

Abb rahunga hamesha
tere sang magar
Kuch nahin yahaan
Agar tu nahin idhar
Abb rahunga hamesha
Maut aaye agar
Kuch nahin yahaan
Agar tu nahin idhar

Tuesday 21 August 2012

Hifaazat....


Kya yaad karu
Kya fariyaad karu
Raah teri dekha karu
Main tera intezaar karu

Main gira karu
Main uttha karu
Phir raah teri chala karu
Tu raah par dikhe ye duaa karu

Main ibaadat karu
Main khawaish karu
Tujhse kabhi mila karu
Yeh umeed kiya karu

Tu muskuraya be-misaal kar
Aankhon mein kajal ki chayya kar
Oye! Tu jiya zindgi kar
Ya-khuda hifaazat uski kar....

Saturday 18 August 2012

Time...


Time has told me
You are a rare find
A troubled cure
For a troubled mind

I can't seem to make you mine
Through the long and lonely night
And i try so hard darling
But the crowd pulled you away
Through the rhythm and the rain

And  time has told me
Not to ask for more
Someday our ocean
Will find it shore

So, I'll leave the ways that are making me be
What i really want to be
Leave the ways that are making me love
What i really don't want to love

Time has told me
You came with the dawn
A soul with no footprint
A rose with no thorn

And time will tell you
To stay by my side
To keep on trying
Till there no more to hide....

Thursday 16 August 2012

Adaa-e-Qaatil.....


Chan lamhe jo tere saath gujaare
Abb sham sawere yaad aate hai
Abb dil mein kuch hota hai
Jab tere naam ke nagme likhe jaate hai

Kuch Ajeeb sa dard meri ruhh me hai
Kuch gajab si kashish teri saadgi mein hai
Main bhulta nahin kyu tujhe bata
Kuch adaa-e-qaatil tum mein hai

Koi rasta bata, Koi rahh dikha
Nahin toh dooba de mujhe sagar mein
Yaa phir rone de iss saawan mein
Abb rehne de sambhal na mujko
Abb khone de inn yaadon mein

Baarish ki boonde jab girti hai
Bhaare huye zakamo ko chooti hai
Kuch dard phir se dil mein hota hai
Yeh saawan tere sheher se aakar
----mere paas kyu rota hai-----

Tuesday 14 August 2012

Kal -- Ajj-- Kal....


Kal, pal woh aakhri the
Phir bhi faasle the
Hum umeed par jiye the
Woh dil ke kareeb the
Woh pal hi haseen the

Ajj, samaa yeh suhana hai
Tera ik nazrana hai
Yaadien teri liye hai
Hum ajj bhi zindgi jiye hai
Yeh pal bhi haseen hai

Kal, kya pata kaun rahega
Ik teri yaadon ka kaafila rahega
Tu iss dil mein gajab sa rahega
Tu yaad phir bhi utna hi rahega
Tere sang kal mera phir haseen rahega

Sunday 12 August 2012

Sochege....


Ajj ghuma ajnabi seher mein
Chehre dekhe hazaron lakhon
Bas ik tu nazar aaya
Kaun hai tumhare jaisa 
Kabhi waqt mila toh sochege

Kadam kadam chalta raha
Akela ajnabi seher mein badhta raha
Hazroon raste dikhe manzilon ke
Bas tere darr ka rata dhundla raha
Kab badege uss raste ki aur
Kabhi waqt mila toh sochege

Dost kehte rahe naa chal iss raah par
Ruk jaa, naa badh iss raah par
Haar ke girega, ghum-e-dil milega
Hum phir bhi chalte rahe
Kya hoga meri manzil ka muqadar
Kabhi waqt milega toh sochege

Thursday 9 August 2012

Parchayi....


Main hoon iss tanhai ka musafir
dhoondta hoon tera nishaan
Kis qadar ki yeh ruswai hai
Main phir bhi teri parchayi hoon

Kuch waqt tha zindgi ka
Meri manzil mera muqadar thi woh
Par kaun samjha yeh dil ki baatien
Kyu ban gaye hum ajnabi

Main ik ghumsuda sawal raha
Par unka ek khayal raha
De panah abb mujko bhi
De wajood mere shabado ko

Woh kehti hai abb bhula de mujko tu
Mitta de abb in shabado ko
Abb main toh badal gayi
Abb tu  bhi badal jaa

Abb woh hi bataye  "Kaise Kahe Alvida" Unki yaadon ko.......

Wednesday 8 August 2012

Beqadar....


Itna beqadar naa bano
Kabhi humhe bhi yaad karo
Maana ki dil bhar gaya ho humse
Yaad karke hum pe eshaan hi karo

Yeh faasle darmiyaan main mita naa saaku
Main kabhi apne ishq ka izhaar kar naa saku
Yeh aankon ki nami yuhi hizar mein sookh gayi
Tere waffa kisi aur ki saukeen ho gayi

Kaisa  yeh khuda ka sitam hai
kisi ko kuch naa mang ke sab kuch milta hai
Kisi ko ibadat karke unki sirf ghum milta hai
Yeh afsaane abb purane ho gaye hum bewaafa ho gaye

Yaaro baat toh suno
Woh toh kabhi saath naa rahe tum toh raho
Mujhe ishq hua hai koi maswaara toh do
Mumkin yeh toh nahin unhe har pal dekha jaaye
Chalo unki yaado ko hi apna banaye

Woh toh khud ko humse chupa sakte hai
Par apni yaadon ke sile humse chura nahin sakte
Hume kabhi toh yaad karo, kabhi toh yaad karo
Kabhi toh baat karo, Kabhi toh baat karo
Intezaar hai tumhara, Intezaar hai tumhara...........

Monday 6 August 2012

Meri Bandi Meri Jaanu....



Meri Bandi Meri jaanu
Phas gayi tujhse mere yaar
Jaane kahan Jaane kaise
Ho gayi tujhse aankien char

Ik mein hoon, dil mera hai
Baithe tanha kare kya

Ik theka hai bhud mein 
Kamraa bhi ussi ke saath

Meri Bandi Meri jaanu
Phas gayi tujhse mere yaar
Jaane kahan Jaane kaise
Ho gayi tujhse aankien char

--------------------------------- LALIT 


Sunday 5 August 2012

Dosti Ke Rang....... (Happy Friendship day)....


Koi kisi ke haath me haath le kar chalta hai
Koi dil mein sirf armaan le kar chalta hai
Dosti ke rang hai mere dosto

Koi sirf dil mein kisi ke liye khawab saja ke rakhta hai
Aur koi kisi ke dil pe kadam rakh kar aage badta hai
Dosti ke rang hai mere dosto

Zindgi jeene ke liye kabhi kisi ka saath kum lagta hai
lamhe jo unke saath beete woh saara jiwan lagta hai
Dosti ke rang hai mere dosto

Koi dil mein har pal kisi ko yaad rakhta hai
Aur koi dil ke jazbaat se khel kar aage badta hai
Dosti ke rang hai mere dosto

Kuch kaminey dil mein ghar bana ke chale jaate hai
Aur kuch shakhs dil ke kareeb reh kar ghum de jaate hai
Dosti ke rang hai mere dosto

Misaal-e-zindgi wahi hai jo kisi ko yaad rahe
Waffa wahi hai jo mehboob ke dil mein aabaad rahe
Dosti ke rang hai mere dosto...bas yaad rahe... :)

Thursday 2 August 2012

Judaai.... (woh aakhri lamhe)


Labon par mere naa koi sawal tha
Dil mein unka khayal tha
khabar kahan thi mujhe woh aage dikh jayege
Pata nahin tha mujhe ki aaj woh chale jayege

Jab mili toh umar bhar ki duaaye dete rahi
Zubaan humari kuch naa bol paaye aankhen num si ho gayi
Woh bhi muskura kar badi dair chup rahi
Hansi ki aad mein jaise kuch chupati rahi

Phir woh chala gaya, Yaadien apni de gaya
Barsaat ke mausam mein ghum-e-dil de gaya
Suna hai aajkal bahut tanha hai woh
Jis ek shakhs  ko dil ke paas rakhta tha

Pyass jo yeh ghum ki hai abb baarisho se bhi bhujti nahin
Chalo koi dawa hi le kar dekhte hai, sharab pee kar dekhte hai
Chod abb unki la-parwaahi ke gile Ae-maariz-e-ishq Happy
loo aaj hum hi unhe phir se yaad kar lete hai, yaad kar lete hai.... ;)

Wednesday 1 August 2012

Qayamat....


Chale ho yuh gumsum se kyun
Iss andhere mein saaya bhi saath chod dega
Saaya bhi roshni ka mohtaaz hai hum nahin
Qayamat ho jaayege mere saath naa chal

Kabhi awaaz dekar dekho hume pass hi paoge
Amaanat hai tu kisi aur ki jaan-e-gazal
Par rakh tu apna andaaz woh pehla
Qayamat ho jaayege mere saath naa chal

Badal naa faisla mera apni manzil bana
Hoon sharminda main apne gairat-e-ehsaas par
Abb kahan teri manzil kahan mera muqaam
Qayamat ho jaayege mere saath naa chal.