Friday 30 November 2012

Move on....



Woh kehti hai "move on"
Apna ho jata hai "mood off"
Sham phir yeh dhalti hai
Raat jaam mein badalti hai

Hum phir se peete hai
Zindgi apni jeete hai
Tamana purani jawan hoti hai
Aarzo shabdo mein bayan hoti hai

Kaafir hai dil mera tumse
Tamana hai dik ki kuch tumse
Aanson se jaam yeh bharta hai
Dil mera kaafir phir se jalta hai

Soorat pe naa jaa meri
Dil mera aazma kabhi
chirag roshni ka hai ek
Usse naa bhujna kabhi

Abb yeh aanson num nahin
Koi naya ghum nahin
Deedar tera ho jaaye
Chain se hum soo jaaye

Woh kehti hai "move on"
Apna ho jata hai "mood off"....

Thursday 29 November 2012

Someone....



Someone have to give in
Someone have to give up
Doesn't matter how far the shore
Sail the ocean you are alone

Someone have to say a word
Someone have to quit in pain
Doesn't matter there a hole
Sail the ocean find the shore

Someone have to be alone
Someone have to take no more
Doesn't matter how deep the pain
Sail the ocean once again...

Sail the ocean once again...

Saturday 10 November 2012

Baaki hai....



Paas tu nahin, phir bhi eshaas abhi baaki hai
Zindgi door hai, phir bhi jaan abhi baaki hai
Waqt beet gaya, phir bhi yaad abhi baaki hai
Khuli aankeen hai, phir bhi khawaab tera baaki hai

Wajod tera nahin, par abhi tasveer ek baki hai
Rahoon mein tu nahin, tera saaya baaki hai
Dil mein dhadkan nahin, tera naam baaki hai
Saang nahin tu mere, teri aahat baaki hai

Tanha safar mein mere, teri parchaayi baaki hai
Muskurat chehre par hai, Aankon mein nami baaki hai
Haathon mein tere naam ki, ik laaker baaki hai
Pukaare naam kabhi tu mera, yeh umeed baaki hai

Harf tere naam ka hai, kahani abhi baaki hai
Akela hoon aaj bhi. intezar aur abhi baaki hai
App mere nahin, pata hai mujhe ae-haseen
Yeh hakikat aaj bhi waise ki waise hai....

Saturday 3 November 2012

Chaand....



Loo nikal gaya chaand ye jaldi
Thodi tasaful toh karta
Hum bhi umar bhar tehre hai
Toda tu bhi humare saath chalta

Saang faasle chalo humare rahe
Door teri tarah woh humare rahe
Tu rukh toh apna thoda rok deta
Arre tu toh humara saath deta

Thoda toh tadapata unko bhi
Manzar humara bhi deekhata unko bhi
Thoda tahar ke toh nikalta
Arre tu toh humara saath deta

Dikh jaaega tujhe tera mehboob
Thoda sabar toh rakhta
Arre rukti tere sansein bhi
Tu unki taraf ek tak toh dekta

Tune bhi abb saath chod diya
Tu bhi unki tarah door chala gaya
Deedar ab tera aur uska door se hota hai
Dono ki aas mein dil mera rota hai

Has naa mujh pe dil laga ke toh dekh
Tu rota raat bhar unko yaad karke toh dekh
Manzil aasan nahin ishq ki chal ke toh dekh
Mein saath dunga sang mere chal ke toh dekh

Arre saath mere kabhi toh chal ke toh dekh....