Tuesday 21 August 2012

Hifaazat....


Kya yaad karu
Kya fariyaad karu
Raah teri dekha karu
Main tera intezaar karu

Main gira karu
Main uttha karu
Phir raah teri chala karu
Tu raah par dikhe ye duaa karu

Main ibaadat karu
Main khawaish karu
Tujhse kabhi mila karu
Yeh umeed kiya karu

Tu muskuraya be-misaal kar
Aankhon mein kajal ki chayya kar
Oye! Tu jiya zindgi kar
Ya-khuda hifaazat uski kar....

No comments:

Post a Comment