Loo nikal gaya chaand ye jaldi
Thodi tasaful toh karta
Hum bhi umar bhar tehre hai
Toda tu bhi humare saath chalta
Saang faasle chalo humare rahe
Door teri tarah woh humare rahe
Tu rukh toh apna thoda rok deta
Arre tu toh humara saath deta
Thoda toh tadapata unko bhi
Manzar humara bhi deekhata unko bhi
Thoda tahar ke toh nikalta
Arre tu toh humara saath deta
Dikh jaaega tujhe tera mehboob
Thoda sabar toh rakhta
Arre rukti tere sansein bhi
Tu unki taraf ek tak toh dekta
Tune bhi abb saath chod diya
Tu bhi unki tarah door chala gaya
Deedar ab tera aur uska door se hota hai
Dono ki aas mein dil mera rota hai
Has naa mujh pe dil laga ke toh dekh
Tu rota raat bhar unko yaad karke toh dekh
Manzil aasan nahin ishq ki chal ke toh dekh
Mein saath dunga sang mere chal ke toh dekh
Arre saath mere kabhi toh chal ke toh dekh....
No comments:
Post a Comment