Saturday, 10 November 2012

Baaki hai....



Paas tu nahin, phir bhi eshaas abhi baaki hai
Zindgi door hai, phir bhi jaan abhi baaki hai
Waqt beet gaya, phir bhi yaad abhi baaki hai
Khuli aankeen hai, phir bhi khawaab tera baaki hai

Wajod tera nahin, par abhi tasveer ek baki hai
Rahoon mein tu nahin, tera saaya baaki hai
Dil mein dhadkan nahin, tera naam baaki hai
Saang nahin tu mere, teri aahat baaki hai

Tanha safar mein mere, teri parchaayi baaki hai
Muskurat chehre par hai, Aankon mein nami baaki hai
Haathon mein tere naam ki, ik laaker baaki hai
Pukaare naam kabhi tu mera, yeh umeed baaki hai

Harf tere naam ka hai, kahani abhi baaki hai
Akela hoon aaj bhi. intezar aur abhi baaki hai
App mere nahin, pata hai mujhe ae-haseen
Yeh hakikat aaj bhi waise ki waise hai....

4 comments: