Safar-e-zindgi mein kuch paaya kuch khoya
Lekin abb tujhe khona nahin chahta maa
Halat-e-zindgi ne kabhi hasaya kabhi rulaya
Lekin abb tujhe rulana nahin chahta maa
Teri bachpan ki woh lori aksar yaad aati hai
Issi liye teri goad ke elawa kahin aur sona nahin chahta maa
Dard hota hai toh dil se aawaz aati hai maa
Takleef hoti hai toh sabse pehle teri yaad aati hai maa
Jab is beghairat duniya nee chod diya bewaffa keh ke
Phir mujhey teri yaad aati hai maa
Bas ek dafa teri goad mein sar rakh kar sona chahta hoon maa
Bahoot Dard ho rha hai, teri goad mein rona chahta hoon maa
Kimat-e-aansoo ye duniya waale nahin jaante maa
Yeh toh wahi jaane jo kisi ke roone pe roya ho maa.....maa....
No comments:
Post a Comment