Friday, 13 July 2012

Husna....



Lahore ke uss
Pehle jile ke
Do pargana mein pahunche

Resham gali ki
Dooje kuche ke
Chauthe makaan mein pahunche

Aur kehte hai jisko
Dooja mulk uss
Pakistan mein pahunche

Likhta hun khat mein
Hindustan se
Pehlu e Husna mein pahunche
O Husna

Main to hun baitha
O Husna meri
Yaadon purani mein khoya

Pal pal ko ginta
Pal pal ko chunta
Beeti kahani mein khoya
Patte jab jhadte Hindustan mein
Yaadien tumhari ye bolein
Hota ujala, Hindustan mein, batein tumhari ye bolein
O Husnaa meri yeh to batado
Hota hai aisa kya
Uss gulistan mein
Rehti ho nanhee kabutar see gum tum jahaan
O Husna

Patte kya jhadte hain Pakistan mein
Vaise hi jaise jhadte yahaan
O Husna

Hota ujala kya vaisa hi hai
Jaisa hota Hindustan mein haan
O Husna

Woh heeron ke ranjhe
Ke nagmein mujhko
Ab tak aa aake sataien
Woh Bulley Shah ki
Takriro ki, jheene jheene saaye
Woh Id ki iddi
Lambi namazey
Seyvaiyon ki jhaale
Woh Diwali key diye sang mein
Baisakhi ke badal
Holi ki woh lakdi jinmein
Sang sang aanch lagai
Lohdi ka woh dhuan jis mein
Dhadkhan hai sulgai
O Husna meri ye toh batado
Lohdi ka dhuan kya ab bhi nikalta hai
Jaisa nilkalta tha uss daur mein vahaan
O Husna

Dhuan mein gulstan yeh barbaad ho raha hai
Ik rang sya kaala, ejad ho raha hai
Ke heeron ke ranjhon ke
Nagmein kya ab bhi
Sune jaate hai haan vahaan
O Husna

Aur rota hai raaton mein
Pakistan kya vaise hi jaise Hindustan
O Husna

No comments:

Post a Comment