Wednesday, 9 September 2015

Anjanay raaston....



Lauta do
mere khawabon ko lauta do
Anjanay raaston mein
Zindagi jo thi milli
Do ghadi ki yeh khushi thi
Ab zehar si ho chali

Abb kya huyi hai kami
Yeh dhadkanein hain thami
Lamhe hairaan hain 

Beeti woh raatein woh din
Hai jism rooh ke bin
Saasein bejaan hain

Dil bhi kya kare
Tanha chale, tanha ruke
Dil dhoonde use
Jo khwabon ko lauta sake

Barish mein bheeg na
Phoolon ka naach na
Yaadon ke dard pe
Raaton ka jaag na

Jo miley the kinare
Woh bha-war kyun ho gaye
Yehi mere the sahare
Kahin mujhse hi kho gaye

Jaane kami hai kahan
Miley na koi nishan
Beghar armaan hai

Rangon mein baat thi
Ruth apne hath thi
Kuch pal the jab haseen
Hoontho ke sath thi

Teri baaton mein tu sare
Woh pal dhundhla gaye
Jal gaye saaye sare
Sehra yeh batla gaye

Kaisi kami hai bhala
Yeh chahaton ka silla
Hum hi naadan hai
Dil bhi kya kare
Tanha chale, tanha rukhe
Dil dhoonde use
Jo khwabon ko lauta sakhe
........................................ M. Z

No comments:

Post a Comment