Wednesday, 23 September 2015

Intezaar....



Intezaar karege tumhara
Waqt chahye jitna lage
Dekhege raah tumhari
Kabhi Tu yahan se guzare

Nahin chahiye teri wafa
Bas Tum hume Yaad hi rakhna
Nahin thamna haath mera
Bas Tum Hum pe aitbaar hi rakhna

Milunga tumhe ussi mode pe
Jahan gaye the haath chod ke
Guzar rahe hai aise Daur se
Gum hai saare mere hosh se....

Monday, 21 September 2015

Hum Aur woh....



Hum bhi woh hai
Jo unki saanson se chalte hai
Woh bhi woh hai
Jo apni saanson karte qadar nahin hai

Hum bhi woh hai
Jo unki yaadon se chalte hai
Woh bhi woh hai
Jo apni yaadon se hume bhula dete hai....


Saturday, 19 September 2015

Tum...



Tum se hi toh hum hai
Tum Nahin, toh ghum hai

Tum se hi saansein hai
Tum Nahin, toh hum nahin hai

Tum se hi meri gazal hai
Tum Nahin, toh lafz nahin hai

Tum se hi gustakhi hai
Tum Nahin, toh ruswai hai

Tum se hi meri kahani hai
Tum Nahin, toh tanhayi hai

Tum se hi meri subah hai
Tum Nahin, toh raatein hai

Tum se hi abaad hai
Tum Nahin, toh barbaad hai

Tum se hi toh hum hai
Tum Nahin, toh ghum hai....


Thursday, 17 September 2015

Aankhen....



Aankhen kehti hai dil ki baatein
Par in-mein hum nahin dikhte
Kya kashish hai Aankhon ki teri
Ki hum kahin aur nahin deekhte

Karti ho jab kajal ki chahya
Ghatayein umad aati hai
Jhukti hai jab palkein teri
Hawayein rukh badal jaati hai

Aankhen band kare jab apni
Surat teri hai hume dekhti 
Aur jab khole dedaar ke baad
Duniya badi haseen hai  lagti

Maan karta hai
Teri aankhon mein doob jaye
Chalo iss bahane
Teri Palkon ki chao naseeb ho jaaye ....


Monday, 14 September 2015

Saanson....


Bhool gya tu mujhe, Koi  baat nahin
Main tasveer teri dekh, Umar guzar lunga

Haath chod diya, Thaam ke mera
Main adaa teri par, Umar guzar lunga

Waqt meri yaad, tujhe bhula de
Main saans teri sang , Umar guzar lunga

Chala gya door, vaade tod ke
Main yaad teri sahare, Umar guzar lunga....



Sunday, 13 September 2015

Mushkil....



Kya tere dil mein hai
Mujhe nahin hai pta
Kaun tere khawabo mein hai
Mujhe nahin hai pta

Aankein aas lagaye hai
Din bhar raah takti hai
Aayega tu mud ke phir
Issi umeed mein Zindgi katti hai

Mushkil bhi aise hai
Bhoolna tumhe har pal chahte hai
Tumhe boolane ke liye
Tumhe pehle yaad karna padta hai
Aur hum wahi saari baazi haar jaate hai
Tumhari yaadon mein phir se kho ke
Unhe seene se lagate hai....


Friday, 11 September 2015

Takdeer....



Agar takdeer saath hoti
Kal tere saath hote
Naa raat kat-ti chain se
Naa subah sham hoti

Agar takdeer saath hoti
Kal tere saath hote
Naa tasveer teri din bhar dekhte
haatho mein haath hote

Agar takdeer saath hoti
Kal tere saath hote
Naa faasle darmiyaan hote
App humare hum-nabab hote

Agar takdeer saath hoti
Kal tere saath hote
Milte ik kahani ki tarah
Afsaano jaise mulakaat hoti.....

...........................................F.D. :(


Thursday, 10 September 2015

Zindgi....



Jab tanha hote hai
Aksar hoonke bharte hai
Sochte jab tujhe hai
Aksar Aanson nikalate hai

Daur woh bhi kya tha
Jab haath tera thaama tha
Aur waqt aisa aana tha
Yeh Hum Ko Nahin pta tha

Sang mere ik yaad teri hai 
Tu nahin hai Teri aahat hai
Milne ki tujhe koi aas nahin hai
Aur, abb Zindagi meri keh rahi alvida hai....

...................................... G.B

Wednesday, 9 September 2015

Anjanay raaston....



Lauta do
mere khawabon ko lauta do
Anjanay raaston mein
Zindagi jo thi milli
Do ghadi ki yeh khushi thi
Ab zehar si ho chali

Abb kya huyi hai kami
Yeh dhadkanein hain thami
Lamhe hairaan hain 

Beeti woh raatein woh din
Hai jism rooh ke bin
Saasein bejaan hain

Dil bhi kya kare
Tanha chale, tanha ruke
Dil dhoonde use
Jo khwabon ko lauta sake

Barish mein bheeg na
Phoolon ka naach na
Yaadon ke dard pe
Raaton ka jaag na

Jo miley the kinare
Woh bha-war kyun ho gaye
Yehi mere the sahare
Kahin mujhse hi kho gaye

Jaane kami hai kahan
Miley na koi nishan
Beghar armaan hai

Rangon mein baat thi
Ruth apne hath thi
Kuch pal the jab haseen
Hoontho ke sath thi

Teri baaton mein tu sare
Woh pal dhundhla gaye
Jal gaye saaye sare
Sehra yeh batla gaye

Kaisi kami hai bhala
Yeh chahaton ka silla
Hum hi naadan hai
Dil bhi kya kare
Tanha chale, tanha rukhe
Dil dhoonde use
Jo khwabon ko lauta sakhe
........................................ M. Z

Tuesday, 8 September 2015

Kadardaan....



Baithe hai gumsum se
Sar neeche jukaye huye
Jaane khayal kiska hai
Kya mere dil me hai

Kambaqht dil bhi bewafa hai
Yaad kisi aur ko karta hai
Laut aa, Hosh me aa jaa
Wahan koi tera kadardaan nahin

Mat dekh tu khawab koi 
Mat rakh naye aas koi
Toote ga nadan tu phir se
Awaaz naa hogi  tootne ki teri

Unki maasomiat ko nikal hata 
Unki berukhi ko apnaa
Samal ja naa jaa udhar
Abb wahan tera koi kadardaan nahin


Monday, 7 September 2015

Saaya....



Tu hai nahin mera
Par apna sa lagta hai
Hai Door Tu humse
Phir bhi ass paas lagta hai

Umeed hi umeed ko thame hai
Par tera hona acha lagta hai
Rahoon pe chalta hu jab akela
Mere saaye sang tera saaya chalta hai....

Adieu....



Tell me what on ur mind
Ruin me one more time
Take a look in my eyes
See how my heart is dying

O baby hold my hand again
Through rhythm and rain
Make Me feel again
That I am not alone again

Adieu to my life
Slowly I  fell in lie
Don't look at me again
I'll fall in love again....

Aanson....



Sila saang hua yuh
Samajha main nahin kyu
Toota hu ajj yuh
Simatuga bhi abb kyu

Chehre duniya ke yuh
Farebhi hai saare kyu
Thokar lagi hai yuh
Dil judega abb kyu

Rahoon se jau yuh
Manzil pta nahin mujhe kyu
Aankein jhuki meri yuh
Ansoon fisal gaye inse kyu....

Sunday, 6 September 2015

Yehi kaafi hai 2....


Jaa rahe hai Door abb
dena humne tu bhula tu
Zindgi jeene ke liye
Yehi kaafi hai

Waqt Ki thokre karwate badal gyi
Naa karna yaad tu hume
Zindgi jeene ke liye
Yahi kaafi hai

Palkein abb ansoon se bheeg gyi
Khusiyan teri saari beh gyi
Zindagi jeene ke liye
Yahi kaafi hai

Dena hume bhula tum
Waqt kabhi meri yaad na dilaye
Zindagi jeene ke liye
Yahi kaafi hai, yahi kaafi hai....