Friday, 13 March 2015

Haar Nahin Maanege....


Nakaar do humein haar nahin maanege
Jhuka do humein haar nahin maanege
Gira do humein haar nahin maanege
Girte hai jo, wahi aage bahdte hai
Koyle ki khaan mein hi, heere nikalte hai

Boond boond se sagar bharte hai
Tap ke hi sone ke haar bante hai
Thokar kha ke hi insaan sambhalte hai
Girte hai jo, wahi aage bahdte hai
Koyle ki khaan mein hi, heere nikalte hai

Haare hai abb tak, toh abb jeet jaana hai
Aage badh kar apni, manzil ko paana hai
Kisi ko nahin, kud ko hi kuch kar dikana hai
Girte hai jo, wahi aage bahdte hai
Koyle ki khaan mein hi, heere nikalte hai....


P S :- "Thand aur bejati kabhi feel nahin karni chahiye".

Thursday, 12 March 2015

Udass....


Jab bhee ye dil udaas hotaa hai
Jaane kaun aas paas hotaa hai

 Honthh chup chaap bolate ho
 Jab saans kuchh tej tej chalatee ho
 Aaankhe jab de rahee ho aawaaje
 Thandee aaho mein saans jaltee ho

 Aaankh men tairtee hain tasaweere
 Teraa cheharaa, teraa khyaal liye
 Aainaa dekhataa hain jab mujh ko
 Ek maasoom saa sawaal liye

Koi waadaa naheen kiyaa
Lekin kyon teraa intezaar rehtaa hai
Be-wajah jab karaar mil jaae
Dil badaa bekaraar rahataa hai...

------------------------------------------Gulzar

Sunday, 8 March 2015

Umeed....


Ajj phir umeed liye baithe hai
Kalam haath mein liye baithe hai
Kuch likhe yeh soch ke baithe hai
Ajj phir umeed liye baithe hai

Sang yaad ik liye baithe hai
Apno ka saath liye baithe hai
Doston ka pyar liye baithe hai
Ajj phir umeed liye baithe hai

Labon pe duaa liye baithe hai
Harf dil mein liye baithe hai
Yadeein zehen mein liye baithe hai
Ajj phir umeed liye baithe hai



....bahut ho gya...utth jaate abb...bada baithe liye....

Qadar....



Qadar doondte rahe unki aankon mein
hisse apne bewafai hi nikali
Saath doondte rahe unki panaah mein
hisse apne judaai hi nikali

Sila is-qadar hua zindgi mein
Qadar har-qadar ki unki humne
Jinhen mili unhein qadar nahin
Jahan qadar thi unhein mili nahin....

Jo gujar gaya...So gujar gaya...



wo nahi mila to malla kia...
jo gujar gaya...so gujar gaya...
usse yaad karke na dil dukha...
jo gujar gaya...so gujar gaya...


na gila kia...na khafa hue...
yun hi raaste mein juda hue...
na tu bewafa...na main bewafa...
jo gujar gaya...so gujar gaya...


usse yaad karke na dil dukha...
jo gujar gaya...so gujar gaya...


tujhe aitbaar-o-yaqeen nahi...
nahi duniya itni buri nahi...
na malla kar...mere sath aa...
jo gujar gaya...so gujar gaya...


wo wafaye thi...ki jafaye thii...
ye na soch kiski khataye thii...
wo tera hai usko gale laga...
jo gujar gaya...so gujar gaya...


wo nahi mila to malla kia...
jo guajr gaya...so gujar gaya...
usse yaad karke na dil dukha...
jo gujar gaya...so gujar gaya...


...........................................................Gulzar

Friday, 6 March 2015

Bas....



Wohi adda hai abb bhi,
 jis pe hum maarte the
Wohi haasi hai abb bhi,
jis ke liye hum jiya karte te

Wahi noor hai abb bhi,
jis pe nazare humari jukti thi
Wahi muskurahat hai abb bhi,
jis pe dhadkane humari rukti thi

Bas aadayein hi purani hai,
bas woh badal  gaye hai
Bas lagta itna humhe hai,
bas woh bhi zindgi se khaffa hai

Bas laut anna ,
Bas laut aana , zindgi badi haseen hai
bas kisi ke shikwo ki mohtaaz nahin hai
bas yaad rakha koi abb bhi, tumare liye yahin hai....