Friday, 7 November 2014

Ishq Ke 7 Mukaam....

Ishq ke saat mukaam hote hain

1. Dilkashi

2. Unss

3. Mohabbat

4. Aqeedat

5. Ibaadat

6. Junoon

   --Aur abb hum aakhiri pe hai ?--

7. Maut....

https://plus.google.com/b/104496211789929461698/104496211789929461698/posts

Sunday, 21 September 2014

Aksar....




Aksar main tere baare me sochta hu
Tu hai nahin meri yeh khud se kehta hu
Kaash tu meri ho jaaye, khuda se maangta hu
Ab iss hakikat ko, main apni kismat maanta hu

Kaash tu iktfaak se, mere saamne aa jaye
Tere aane se mere, kismat palat jaye
Mere jazbat us pal, ansoon mein toot jaye
Aur tu mere bahoon, mein simat jaye

Abb zindgi mein, ik umeed hi baaki hai
Tu nahin hai meri, ik teri yaad hi baaki hai
Abb tu meri zindgi ki, ik adhoori si kitaab hai
Aur, abb surat teri yaad nahin ,bas ik saadgi teri yaad hai....

Saturday, 15 February 2014

Ae Qaatib E Taqdeer....


Ae Qaatib E Taqdeer, Mujhe Itnaa Bataa De
Kyun Mujhse Khafa Hai Tu, Kya Maine Kiya Hai
Auron Ko Khushi, Mujhko Faqat Dardo Ranzo Gham
Duniya Ko Hansi Aur Mujhe Rona Diyaa Hai

Kyun Mujhse Khafa Hai Tu,Kya Maine Kiya Hai

Hisse Me Sabke Aayin Hain, Rangeen Bahaaren
Bad-Faqtiyaan Lekin Mujhe Sheeshe Mein Utaaren
Peete Hain Rog Roz-O-Shab Mussarraton Ki May
Main Hoon Ke Sadaa Khoon-E-Jigar Maine Piyaa Hai

Kya Maine Kiya Hai, Kya Maine Kiya Hai

Thaa Jinke Dam Kadam Se Ye Aabaad Aashiyaan
Wo Chahchahaati Bulbulen Jaane Gayin Kahaan
Jugnoo Ki Chamak Hai Na Sitaaron Ki Roshni
Is Ghup Andhere Mein Hai Meri Jaan Par Bani

Kyaa Thi Khataa Ke Jiski Sazaa Toone Mujhko Di
Kyaa Thaa Gunah Ke Jiskaa Badlaa Mujhse Liyaa Hai
Kyaa Maine Kiyaa Hai
Kyaa Maine Kiyaa Hai
Kyun Mujhse Khafaa Hai Tu, Kyaa Maine Kiyaa Hai....



Wednesday, 15 January 2014

Woh Jo Hum Mein Tum Mein Qaraar Tha....




Woh Jo Hum Mein Tum Mein Qaraar Tha, Tumhe Yaad Ho Ke Naa Yaad Ho
Wohi Yaani Waada Nibaah Kaa, Tumhe Yaad Ho Ke Naa Yaad Ho

Woh Naye Gile, Woh Shikaayatei, Woh Maze Maze Ki Hiqaayatein
Woh Har Ek Baat Par Roothnaa, Tumhe Yaad Ho Ke Naa Yaad Ho

Kabhi Hum Mein Tum Mein Bhi Chah Thi, Kabhi Hum Se Tum Se Bhi Raah Thi
Kabhi Hum Bhi Tum Bhi The Ashana, Tumhe Yaad Ho Ke Naa Yaad Ho

Jise Aap Ginate The Ashana, Jise Aap Kehate The Baavafaa,
Main Wahi huu ‘momin-e-mubatala’, Tumhei Yaad Ho Ke Naa Yaad Ho

Woh Jo Hum Mein Tum Mein Qaraar Tha, Tumhe Yaad Ho Ke Naa Yaad Ho
Wohi Yaani Waada Nibaah Kaa, Tumhe Yaad Ho Ke Naa Yaad Ho
>>>>>>>>>>>>>>>>>>>******<<<<<<<<<<<<<<<<<<<
>>>>>>>>>>>>>>>>>>>******<<<<<<<<<<<<<<<<<<<
Woh Jo Lutf Mujh Pe The Beshtar, Wok Karam Ke Tha Mere Haal Par
Mujhe Sab Hai Yaad Zaraa Zaraa, Tumhe Yaad Ho Ke Naa Yaad Ho