Sunday, 30 December 2012

Koshish....



Koshish karege tujhe bhulne ki
Dekh tu hume yaad naa aana

Rahh par chalege nazar jhuka ke abb
Dekh tu hume nazar naa aana

Dooriyan abb aadat si hai meri
Dekh tu hume kareeb naa lana

Rootha hu tujh se abb main
Dekh tu hume aur naa manana

Dhadkane khamosh abb yeh meri
Dekh tu hume be-chain naa karna

Aabaad hu teri yaadon ke saharae
Dekh tu hume aur barbad naa karna....

Friday, 28 December 2012

Dhadkane....



Dil yeh mera Abhi toota nahin
Abb bhi jeeta hai tere hone se
Dhadkane tere naam ki hai
Nagma teri yaad ka hai
Haan yaaro ajj usse batao
Woh hi hai, sirf woh hi hai

Baaton Baaton mein dil mera.. loot gaye
Abb naa chodna saath fitrat chahe teri badal gaye
Abb bhi dil mein tu basti hai
Dil mein teri chahat palti hai
Haan yaaro ajj usse batao
Woh hi hai, sirf woh hi hai

Rahoon mein mera saath naa chodna
Bahuut toota hoon mujhe aur naa todna
Aankon mein kajjal ki lakeer
Aur, Hoothon mein muskurat naa chodna
Haan yaaro ajj usse batao
Woh hi hai, sirf woh hi hai

Chahat meri tukdo mein badal gayi
Waffa meri tere wajood se palat gayi
Dil ka jo dard hai Ae- Haseen
Tere hi pyaar ki ik nishaani hai
Haan yaaro ajj usse batao
Woh hi hai, sirf woh hi hai

Mere dil ka dard tu samaj naa paayi
Aur, Mere khawaabo mein tu mud ke har baar aayi
Aur kya kahoon isse jayada Ae- faraz
Mere zindgi tere hi parchaayi
Haan yaaro ajj usse batao
Woh hi hai, sirf woh hi hai.....

Tuesday, 25 December 2012

Agar....



Tu mila aaj humse nahin
Koi gila nahin, shikwa nahin
Aankhon mein aansoon nahin
Dil mein koi shikayat nahin

Kisko batate dard-e-dil apna
Agar naam tera kisi ko pata nahin
Gila kya sunaate tumhe 
Agar tu humse mila hi nahin

Tu ik baar has ke bol gaya
Dil mera phir se dol gaya
Khawab tera phir se saj gaya
Tu mere dil mein bas gaya

Tu bemisaal hai mere yaar
Tujh se dil ki aas hai yaar
Tu mera haasen khawab hai yaar
Tu hi ek mera pyaar hai yaar

Katra lahoon ka nikalta hai
Tu iss dil mein basta hai
Teri ek aarzoo kab se hai
Mere lahoon mein teri guftgu si hai

Chaha hai tujhe jahan se chupa ke
Mila nahin tu sab sitam apnaa ke
Thokre sab zindgi ki main seh ke
Tu chala gaya, Tu phir bhi chala gaya
...... humse nazare bacha ke.......

Saturday, 8 December 2012

Se....



Rahoon pe chalte the...........................anjaano se
Dikhte the door woh...........................afsaano se
Milte the raat ko woh .........................khawaabo se
Door se karte the salam..................... aankhon se

Milti thi raahien apni mud jaate the .....door se
Jhukti thi nazare unke roop ke............ noor se
Sharamaate the hum unke ..................wajood se
Daarte the hum unke ..........................garoor se

Mila nahin woh maanga jisse................khuda se
Pata nahin kyu rahien aap humse..........khaffa se
Milunga kabhi toh shikwa sunaunga .....ruhh se
Bhala kaun jaata hai door yuh...............apno se ....

Sunday, 2 December 2012

December 2012....



Ik salaam, mere doston ke naam
Humne diye ilzam ik doosre ke naam

Kiye waade hazroon, kaye  poore
Kaye waade  aaj tak doston ke adhoore

Ik sham mere unke naam, Mere apno ke naam
Mere khushnaseeb doston ke naam

Mera sabhi doston ko salam
Ye kalam hai aap sabhi ke naam

Nibhayege ye rista mere yaar
Agar tum nahin bhi karoge yaad

Kyu naa aaj ki sham ho jaye aapke naam
December ki pehli sham aapke naam

Chalti rahe yeh dosti har ik saans
Milege kabhi, saama karege purana yaad

December ki pehli sham aapke naam
Aap sabhi doston ko mera salam.... <3