Tuesday, 30 October 2012

Jeevan...



Jeevan mera ik besahara
Naa koi manzil Naa koi kinara
Kadam Kadam par ajnabi chehra
Unn chehron mein koi nahin mera

Chehre se abb naqab hata
Kya hai dil mein ye bata
Kyu naqab pehan ke jeena
Ghum harpal kyu hai peena

Rahoon mein dikhega koi chehra purana
Phir pehenge naqab hassi ka purana
Mujhe bhi ghum apna hai chupana
Tumhe sab pta hai aur abb kya batana

Jeevan mera dhoodta hai kinara
Ek raah manzil ki aur tera sahara
Lafzoon mein kya abb tumhe hai batana
Likh diya hai nagma , ik afsana

Manzil jeevan ki bas aage hi jaana
Par koi yaar na choot jaye mera purana
Lamhon ko bas dil se naa bhoolana
Milege kabhi toh yaad karege saama purana....

Thursday, 25 October 2012

Shikayat....



Abb mein unn lamho ki baat nahin karta jo beet gaye zindgi se mere
Soo jaa naa sooch unn lamho ko jo beet gaye zindgi se tere
Khaffa zindgi kuch humse rahi, door zindgi humse kuch tumse rahi
Saath zindgi mere chalti hi kyun, Agar saath hi nahin tu mere rahi
Shiyakat karte hi kyun tumse agar, Agar zindgi mein tu hi nahin rahi

Waafien aapnata tu uski jaan ..agar wafa usne kabhi nebhayi hoti
Agar dil hi bewafa nikala uska phir kyun usse preet tune layagi hoti
Agar laut bhi aau,main laut bhi aau, toh kya chahat meri tune aapnayi hoti
Tune apne dil mein  kisi aur, kisi aur ki kya taasveer basayi hoti
Usool zindgi ke main badal deta , agar meri jaan tune meri chahat appnayi hoti

Kya usme rakha hai bata mujhe, agar main bewafa hoon bata mujhe
Kadmo mein tere jhoomta main chala gaya,khwaabon mein tere jeeta main chala gaya
Phir se jaan meri, yaad karke  muskurato  mein teri zindgi main jeeta chala gya
Kal yeh guma bhi nikal jayega , bta tu mujhe kaise main phir zindgi beetauga
Agar sirf saath chale tu mere khawab mein, mein zindgi tere liye jeeta chala jaunga
Par saath tera mujhe mile toh main janat bhi zaamen pe utar launga....

Kya ussme rakha hai jo tera chahne wala hai, bata tu mujhe kya woh tere dil ki duaa hai
Mana ki tera aur uska saath purana hai kya ussme rakha hai hai jo tere chahne waala hai
Bhoolta nahin main tujhe bata de, de muje, kya meri aarzoo hai bata de tu mujhe
Kya teri tamanna hai bata de mujhe, kya usme rakha hai jo hai chahton mein tere
Bata de mujhe, bta de mujhe kya koi galati hai khawaabon mein mere.... :(


Tuesday, 23 October 2012

Aa bhi jaa ..mere do bacho ki maa....



AAbhijaa aabhijaaa hmmmmm ... abhijaaaa.. 
Naa sata na sata hmmmm ... abhija
Meri saanse ruki ki ruki reh gayi.. 
mujhko khabar hi aisi mili 
meri biwi kisi aur se pat gayi 
Meri to kismat hi lut gayi.. 
Mere sare sapno k shehar me aag laga k gayiii.. 
Mere pyare ghar ko bhi tu jaise 
nark bana k gayiiii
Aa bhi ja aa bhi jaa 
Mere do bachho ki maa 
ghar wapas aa bhi jaa 
Kahan gayi kahan gayi 
bachho ko chhod k 
dil mera tod k 
Aa bhi jaa aa bhi jaaa 
Oo aa bhi jaa aaa...
Tune mujhse kaha 
tha k mere sanam 
sang tere hi chalungi sadaa 
Par tune kaat diya meraa 
rasta ik billi ki tarah 
Mera jo k soya hua tha 
wo armaan 
jaga k gayiii... 
Mere sare zakhmo pe tu jaise 
mirchii lagga k gayiii
Tune mujhse kaha.. kaha.. kaha.. 
Tune kaat diya.. diya...diya..
Aa bhi ja aa bhi jaa 
Mere do bachho ki maa.. 
ghar wapas aa bhi jaa
Kha gayi kha gayi 
meri purkhon ki jameen 
Kaisi tu bewafaa 
Raat ko ab yahan 
hota hai khada 
sawalo ka quila 
Uska kya mujhse bhi 
Jyada hai bada 
dil ka aashiyann 
Aa bhi jaa aa bhi jaaa 
Oo Abhi jaa aaa..
   
                   -----------------Aagman

Sunday, 21 October 2012

Safar....



Zindgi ke safar mein gehre samandar mein jaana hi padega
Manzilon ki talash mein sahilon pe aana hi padega

Lehre jitni uchi utthe sagar mein takrana hi padega
Inn ghane andheron mein chirag jalana hi padega

Ulfat ka safar hai zakam apna banana hi padega
Kuch paana hai toh lahoon bahana hi padega

Manzil paani hai toh pehla pag badana hi padega
Saayon ke saath chod ke aage jaana hi padega

Haasil karna hai unhe toh humsafar banana hi padega
Chalna hai raahon par toh kaanto ko apnana hi padega

Zindgi ke safar mein gehre samandar mein jaana hi padega
Manzilon ki talash mein sahilon pe aana hi padega

Saturday, 20 October 2012

Khilona....



Khilona samaj ke koi humse khel gaya
Dil tha ussme ek koi usse tode gaya

Dar badar padta hai khilona ajnabio ke haatho mein
Doodh ke bhi nahin milta koi tera jaisa lakhon mein

Abb haste hai duniya ko kush dikhne ke liye
Abb ghumsum roote hai dard bhulane ke liye

Phir laut aa khel iss pathar dil khilone se
Phir se jaan bhar jayege issme tere hone se

Lamhe purano mein phir se isse khone de
Yaad karke tujhe phir se isse roone de

Aa ek baar phir se khel iss khilone se
Aa ek baar phir se khel iss khilone se....


Thursday, 18 October 2012

Nigahen....



Kya sochte hai woh, ki hum unhe yaad nahin karte
Arre jaayein, zara poochiye hum aapko bhoolte hi kab hai
Nigahen bisaare takte hai rahoon ko tumhari
Umeed karte hai dekhega, kabhi tu nazron ko humari
Hum roz haarte hai , har roz tute te hai yaadon mein teri
Har roz pir simat te hai, phir se chahat mein teri
Ek tum ho faraz, jisse koi qadar nahin humari
Chale jaayege door, tak kar rahoon ko tumhari
Mud ke dekhuga fir tumhe kabhi faraz
Dil mein basa ke door chale jayege rahoon se TERI....


Saturday, 13 October 2012

Panah.... & Tanhaiyan....

PANAH....



Tere khwahishon mein khawahish kiski hai, nahin jaanta
Tere saanson mein riwayat kiski hai , nahin jaanta
Tere chahton  mein panah kiski hai, nahin jaanta
Tere haathon mein inayat kiski hai, nahin jaanta

Meri mohabbat mein numaish kyu nahin, nahin jaanta
Mere lafzon mein paimaish kyu nahin , nahin jaanta
Meri chahat hai dil se dil ke liye, tu nahin jaanta
Mere dil ko tere deedar ki farmaish kyu hai, nahin jaanta....

TANHAIYAN....


Kyu dekhta hoon tera khawab
Kyu aata hai tera khayal
Kab bayan hogi yeh haqiqat
Kab aayega mujhe yeh yakeen
Rahega mere saath yeh ghum
Katega safar mera sang tanhaiyan

Abhi umar hi kya hai meri
Aur zaalim zindgi ne kitna de diya
Khawab, Khayal, Haqiqat ,Yakeen
------Ghum AUR Tanhaiyan.......


Thursday, 4 October 2012

Gustakh...

Woh khud toh chala gaya
Mujhe tanha chod gaya
Khud toh ruk naa paaya
Apna saaya chod gaya

Bhool jaane ka hunar
Mujhe bhi sikha do
Raaton ko soye huye
Mujhe bhi zamaana ho gaya

Dukh kisi baat ka nahin
Bas ghum hai ki
Aankhon se kiye vaade
Baaton se tod gaya

Gustakh jo teri yaadien hai
Inhe  kuch apni saadgi sikha
Kambaqt dastak bhi nahin deti
Aur dil mein utar jaati hai....

Inayat....


Naa mujhe tu bhoolta hai
Naa tujhe woh bhoolta hai
Lejha ek sa chahye tumhara
Baatien ek si chahye humari
Par jin haatho mein laakere hai
Woh haath alag hai
Hum dono ki kismat alag hai

Dhoond lunga andhere mein manzil apni
Tu hausala rakhna waqt chahye jayda lage
Talab uski hai saath chale
Saath jiske saama mera haasen bane
Intezar hum karge tum aakar toh dekna
Inayat hogi teri, App aazma ke toh dekna


Wednesday, 3 October 2012

Chhoo lo....




Khada hoon aaj bhi waheen, ki dil phir bekarar hai
Khada hoon aaj bhi waheen, ki tera intezaar hai
Choo Lo jo mujhe tum kabhi,
kho na jaoon main raat din
Nazaron tum ho basey
Keh do jo tum ek baar,
Mere ho bas tum mere
Nazaron me tum ho basey

Khada hoon aaj bhi waheen,
Lagi teri hi aas hai
Kaisi hai yeh bebasi,
Yeh kaisi dil ki pyaas hai
Choo lo jo mujhe tum kabhi,
kho na jaoon main raat din
Nazaron main tum ho basey
Keh do jo tum ek baar,
mere ho bas tum mere
Nazaron main tum ho basey

Reh jaoonga yuheen, bas yuheen, bas yuheen
Reh jaoonga yuheen, bas yuheen, bas yuheen
Reh jaoonga yuheen, bas yuheen, bas yuheen
Reh jaoonga yuheen, bas yuheen, bas yuheen

Choo lo jo mujhe tum kabhi,
Kho na jaoon main raat din
Nazaron main tum ho basey
Keh do jo tum ek baar,
Mere ho bas tum mere
Nazaron main tum ho basey

Haan main ruka hoon, tu ja chukka hai
Haan main ruka hoon, tu ja chukka hai
Choo lo mujhe tum kabhi,
kho na jaoon main raat din
Nazaron main tum ho basey, ho basey

 Copyrights: The Local Train

Main Laut Aaunga....




Na ho ab udaas tu
Na kar aankhein nam
In sooni sooni raaton mein
Aayenge tujhse milne ham 
In sooni sooni raaton mein 
In pyaari pyaar baaton mein 
Main laut aaunga 
Main laut aaunga 

Un bheeni bheeni shaamon mein 
Kiye the humne waade jo 
Un saare kasmon waadon ko 
Main mar ke bhi nibhaunga 
Pehnaani thi jo choodiyan 
Mujhko teri kalai mein 
Pehna jaunga 
Pehna jaunga 
Pehna jaunga 
Pehna jaunga 

Adhoori saari baaton ko 
Un sadiyon ke waadon ko 
Poora kar jaunga 
Main laut aaunga 

Tu jab meri yaad mein 
Tu meri ummeed mein 
Tu karwatein badal ke jab 
Saari raat kaategi 
Toh aisi kisi raat mein 
Main chupke se aaunga 
Aur tujhe choo jaunga 
Aur tujhe choo jaunga 
Aur tujhe choo jaunga 
Aur tujhe choo jaunga 

Aur hongi barsaatein toh 
Main un barsaaton mein 
Baras jaunga 
Baras jaunga 
Baras jaunga 
Baras jaunga 
Baahon mein bhar ke main tujhe 
Teri aankhon mein kahin 
Sapne de jaunga 
Sapne de jaunga 
Sapne de jaunga 
Sapne de jaunga 
Main laut aaunga...

 copyrights: Kaash (The Band)

Bandey....


Kismet se kahan, tu khud se ladta hai, Phir haare tu kyun yahaan,
Jab toote hain yeh dil, Ro bhi na tu paye aur kuch na kahe yeh zubaan
Jaata, jaaye tu kahaan bata, Teri manzil kahaan
Chodh aaya anjaane main, kya woh mil payenge wahaan
Sikander hai woh jeeta hai yahaan, Phir bhi akela woh rehta hai yaheen
Sab hai tere paas, Phir bhi tu kyun roye

Na Sona chandi tu maange rab se, ab na kare tu yeh khata
Chodh aaya anjaane main, Kya woh mil payenge wahaan
Bandey
Bandey
Bandey

Tere pairon ke nishan
Iss mitti par tujh ko le aayenge yahaan
Kyun chalte chalte, ruk jaaye tu kahin
Kyun mudh ke dhoonde koi apna yahaan
Sab hai tere paas, Phir bhi tu kyun roye

Na Sona, chandi tu maange rab se, Ab na kare tu yeh khata
Chodh aaya anjaane main, Kya woh mil payenge wahaan
Bandey Khud ko na tu sataa
Bandey Kal hoye kya pataa
Bandey Zindagi ik yahaan
Kyun kaate isse tu ghut ghut ke yun jiya

 Copyright: The Local Train

Tuesday, 2 October 2012

Aainaa....


Alfaaz kuch mere zehan mein hai
Dastan meri zubaan pe hai
Dikhta nahin abb inn nazroon ko tu
Par khawaab tera nigahon mein  hai

Khamosh raat ki tanhai mein
Awaaz dhadkano ki sunta hoon
Ehsaas phir se tera hota hai
Dil mera phir se rota hai

Main kabhi toot bhi gaya iss dard se
Toh aainaa samaj ke chod dena
Tum mere baad bhi har roz
Muskura ke sawartey rehna....