Friday, 28 September 2012

Subah....


Raat phir chali  gayi
Phir nayi subah aa gayi
Waqt pal pal chalta raha
Main pag pag aage badta raha

Gairon se kya gila kare
Jab apne hi saath chodte gaye
Yeh toh jeetna humari aadat thi
Par haarna uss waqt ki himakat thi

Unki tamana mein haarna bhi sikha diya
Par uss haar mein jo saakoon mila 
Woh jeet mein kahan se laate
Yeh toh unhe jitaana tha bas
issiliye hum har baazi haarte chale gaye

Abb mud ke naa dekna bikhar jaunga
Mein phir yaadon mein khoo jaunga
Badi shhidat se sameta hai khud ko
Aur toota toh aansuon ki baarisho mein
----------bheeg jaunga----------

Sunday, 23 September 2012

Jab Tak Hai Jaan....


Teri aankhon ki namkeen mastiyaan,
Teri hansi ki be parwah gustaakhiyaan
Teri zulfon ki lehraati angdaaiyaan,
Nahin bhoolunga main
Jab tak hai jaan, Jab tak hai jaan

Tera haath se haath chodna,
Tera saayon ka rukh modna
Tera palat ke phir na dekhna,
Nahin maaf karunga main
Jab tak hai jaan, Jab tak hai jaan

Baarisho mein be dhadak tere naachne se
Baat baat par be wajah tere rootne se
Choti choti teri bachkani badmashiyon se
Mohabbat karuga mein
Jab tak hai jaan, Jab tak hai jaan

Tere jhoote kasmein waado se
Tere jalte sulagte khawaabo se
Teri be reham duaayon se
Nafrat karuga mein
Jab tak hai jaan, Jab tak hai jaan

-------------------------------Aditya Chopra & Gulzar

Aksh....


Kya likhu abb samaj nahin aata
Teri waafa likhu ya teri adda likhu
Ghalib ki shayari likhu ya gulzar ki najam likhu
Happy ka dard likhu ya chauhan ka karar likhu

Chal chod  aaj phir tujhe hi likhu
Thoda choo lo likhu thoda kaash main laut aunga likhu
Thoda rolling in deep likhu thoda somebody i used to know likhu
Chalo yaaro phir kuch apna  hi likhu

Narze teri dekhi toh koi aur dikha
Aksh tere nikale toh  main dikha
Udasi naa apni mujhse yuh jode
Main pehle se hi toota hu mujhe aur naa tode
Woh kehte hai shisa tute toh awaaz hoti hai
Par ye bedard dil mera jab bhi tuta awaaz nahin huyi
Bas do aksh nikale aur woh bhi bewaffa nikle
Zaalim unme bhi tu hi nazar aaya
Phir unhe dekh kar do aksh aur nikale....

Wednesday, 19 September 2012

Aaarzoo....


Shikayat mere ghum ko mujhse hi rahi
Teri soorat mere alfaazo mein dhalti rahi

Kabhi maan karta tha bhula du tujhe
Dil ko mere mujh se hi bagawat rahi

Dil ka dushman hi mera mehboob raha
Uski Ada-e-Ulfat ki  dil pe hakumat rahi

Mila toh zamane mein mujhe bahut kuch
Par aa dekh zara teri zarorat hi rahi

Chala gaya tu door rahoon se unn
Par tere kadmon ki aahat si rahi

Chehra jis din se dekha tera haseen
Uss din se kisi aur ko dekhne ki aarzoo na rahi....

Sunday, 16 September 2012

Parwaana....



Kabhi sochta hoon
Naa chalta uss raah par
Naa milta kabhi aapse
Par muqadar se insaan khel nahin sakta
Agar aisa hota toh khuda kya kaam karta
Shiddato se chaha hai tujhe
Khuda se sirf manga hai tujhe
Yeh toh dil sirf ek hai mere paas
Agar do hote toh tujhe deta todne ko
Naseeb mera jagta phir se arre
Mera dil phir hota tere paas khelne ko
Aksar sochta hoon tujhe
Ankoon mein iktiyaar karta hoon tujhe
Abb tera wajood nahin aankon ke saamne
Par abb tera naam iss dil mein mein
Dewaana aalam hai aur main shama ka parwaana

Thursday, 13 September 2012

Hasrat....


Door tum kyu chale gaye
Faasle darmiyaan bad gaye
Kya tum mujhse roothe se ho
Phir kyu tera saath choota sa hai

Kabhi laut ke aana mere yaar
Bas ek baar itna samajha jaana
Kahan se seekh lee tumne
Yeh aadat mujhe bhulaane ki

Koi shikwa tha tumhe mujhse
Yaa koi shikayat thi tumhe mujhse
Has ke kabhi bol hi dete
Tumne toh koshish naa ki batane ki

Bhala koi yuh chod ke
Jaata hai apne deewane ko
Abb bas ghum ka saawan hai
Jo umar bhar rulaeyega

Abhi haseen tere naqsh baaki hai
Raahon par jin pe tu chala tha
Qadmon pe apne laut aao
Mere sang saath nibane ko

Hasrat ek hai meri ruhh ki
Kabhi tere laboon se naam apna sunu
Batao, kahan se seekh lee tumne
Ye aadat mujhe bhulaane ki

Sunday, 9 September 2012

Haase Rooye Sooye.....


Tere liye kya haase kya rooye kya sooye
Soo kar khawabon mein tu aaya
Phir utth kar teri yaad mein khoye

Tere liye meri aankhon se aksh nikle
Phir bhi, khush, kuch tere liye huye

Abb aur haar nahin sakta ashiqui mein teri
Abb aur gira toh kya qadar hai teri saadgi mein meri

Abb hatta de zindgi se teri
Meri jo waffa hai rehmat thi teri
Abb khaffa reh tu mujhse
Phir bhi teri qadar hai seene mein mere

Kya ussme rakha hai jo chahat hai teri
Bewafaa nikle woh bhi yeh khaawish hai meri :P
Par maana lunga dil ko apne
Agar rahat hai dil ki woh teri

Dil hai mera jo tasaliyaan tere naam ki deta hai
Umeed hai aaj bhi jo umeede tere naam ki rakhta hai

Kamjor naa samaj agar aankhon mein mere aansu hai
Arre Naa-Cheez tere waafa ki toh yeh ibaadat hai.....:)

Kush reh tu saada khuda se ibadat hai,
Mein bhi sharab mein tasaful rahuga, yeh khawaish hai


Friday, 7 September 2012

Kareeb....


Jaa mujhe chod ke jaane waale
Iss khamoshi ka sila toh door hua
Tu dil ke kareeb tha chal, chal
Abb aankhon se toh door hua

Nagma likha hai tere liye
Kabhi mustbill hona iss pe
Naseh mein hu jam ke tere, tere
Par tu har lamhe mein mere

Zikar kya karu teri waffa ka
Agar ijhaar main hi naa kar saaka
Sayad bayaan hi nahin, nahin
Teri saadgi ka sila meri shayari mein

Khamosh hu ajj bhi kya karu, 
Phir bhi ghum kuch meetha sa hai
Tujhse juda hu phir bhi, phir bhi 
Nasha teri aashqui ka hai

Dil se naa laga iss harf ko tu apne
Kyunki mein naseh mein hu
Aur dil tera , aur dil tera
Kisi aur ka hai, kisi aur ka hai....

Sunday, 2 September 2012

Aziz....


Pehla woh pal tere pehlu mein simat gaya
Maine tujhe dekha toh dekhta hi reh gaya
Waqt woh aziz hai ajj bhi mere dost mujhe
Tu chahye karwat badal ke raat ko chain se so gaya
Teri yaadon ne har harf tadpaya jagaya mujhe
Par waqt woh aziz hi tere kareeb laaya mujhe
Abb mere khawabon mein bhi tu hi aane laga
Muqadar ne chalo mera saath abb de hi diya
Khuli aankon se nahin toh band nazron se deedar ho gaya
Abb yaadien hi hai nishaaniyan teri
Abb issi ke saath beetegi zindgi meri
Pehla woh pal tere pehlu se kya mit gaya
Main tujhe dekhte huye teri raah se guzar gaya