Sunday 20 May 2012

the combo...

Happy:

Socha ki un ke liye kuch likhe,
Par abhi bhi ruhh mein kuch suroor sa hai.
 Socha ki abb na unko dekhe,
Par abhi bhi in ankoon mein junoon sa hai.
Socha abb khuda uttha le iss mazar se hume.
 Par abhi bhi is dil mein sakoon toh hai......

 Sourabh:

 socha ki abb is ruh ko hi mita de
 Per abhi bhi is jahan me humara likhe nagme to hai . . .
socha ki ab kuch kisi or ke liya likhe
per abhi bhi is dil me jajbaat sirf unke liya hain....

 Pallavi:

 socha ki abb to in sanso ko rok lu..
par abhi bhi in sanso me zinda to whi hai...

 Hema:

 socha k abb alvida kahe unhe par yeh dil hai ki..
 nazare unke chehre se hatne k ijazat hi nahi deta

 Sushmita:

 socha ke do pal tehrun kardun tukde iss dil ke ....
ki kuch na rahe darmiyaan,
 Na koi gile na koi shikwae,
 apne hone ko hi mitta dun ki kuch na rahe darmiyaan, ...
 ki kissi ka dil na dukhe...
par kambakht mere buss mein ni hai
 kaash hota toh kissika dil na dukhaana padta ........
par kuch cheezein iss duniya mein hain jo mere buss mein ni hain.....
 hazaaron khwahishein aisi hain ki har khwahish pe dum nikle....
 par jaate jaate achchi nishaaniyan de jayein yahi khwahish hai ........

 Lalit:

 Mazbooriyaa teri bhi hain,, janta hun,,
 Mazbooriyaa to uski bhi hain,,kusoor tera nhi,, pta hai mujhe,,
Galtiyan to uski bhi hain,,
Agr chah liyaa usne tujhe to khud ko naa tod,
,Dil dukhtaa hai uska pr tu umeed to naa chod,,
Dil mein tere kya hai-kya nhi,, pta nhi,,
Par dil mein nishniyan to uski bhi hain,,

No comments:

Post a Comment