Tuesday 31 July 2012

Yehi Kaafi hai....


Jaa rahe hai door hum
Abb de humhe bhula tu
Zindgi jeene ke liye
Yehi kaafi hai, Yehi kaafi hai.

Waqt ki thokre karwaate badal gayi
De gayi zakam dil ko Umar ki nishaaniya
Yaad kabhi naa kar tu mujhe
Zindgi jeene ke liye
Yehi kaafi hai, Yehi kaafi hai.

Waffa maine ki be-panah
Yaad tujhe kiya be-inteha
Tu mud ke naa dekh mujhe
Zindgi jeene ke liye
Yehi kaafi hai, Yehi kaafi hai.

Jaa kush rahe tu hamesha
Umar meri bhi tujhe laga de khuda
Waqt kabhi meri yaad naa dilaaye
Zindgi jeene ke liye
Yehi kaafi hai, Yehi kaafi hai.

Saanse main rok lu apni
Dhadkane khamoosh kar lu apni
Tu abb yaad na aaye mujhe
Zinda rehne ke liye
Zindgi jeene ke liye
Yehi kaafi hai, Yehi kaafi hai.

Monday 30 July 2012

Ikhtiyaar....


Har Pal, Har lamhaa yaad kiya hai usse
Door hai woh, issi liye dil mein ikhtiyaar kiya hai usse
Kadmon ki dooriyan abb milon me badal gaye
Faasle darmiyaan abb talabgaron se jayada bad gaye
Usse bichra toh maine jaana, ki mar ke bhi kaise jiya karte hai

Zamana puchta hai mujhse ki, main kush kyu nahin
Unhe kya pata, meri toh aadat thi unke sang muskurane ki
Yeh toh sharafat hai meri ki kalam se sirf sahayi ka rishta hai
Mera bas chale toh kalam se uske aashiqko ke sar kalam kar du.... ;)

Saturday 28 July 2012

Tanha....



Loo ajj phir raah par unki yaad aayi
Bheed mein phir se tanha kar gaye
Gila toh hum unse bhi kya kare
Mohtaaz unke hai, duniya se bhi kya kahe

Woh nigahen, woh muskaan aaj bhi jab yaad aati hai
Dil ko beinteha tukdo mein tod jaati hai
Kabhi dil dekhe woh mera toh khud ko hi paaye woh
Loo issi ummed mein hum apna dil phir jod dete hai.. :)

Friday 27 July 2012

Gumnaam....




Ajj phir tere bina main gumnaam sa hoon
Ajj phir mera dil bechain sa hai
Tujhe dekhe huye sadiyaan kayee beet gayi
Tere intezaar mein kastiyaan sahillon par doob gaye

Agar ijazat ho, toh haal dil ka sunau usko
Ek Ek zakam ki tafseel sunau usko
Toot kar chahne wala aaj bhi tujhe utna hi chahta hai
Yeh alag baat hai eshaas tujhe naa kal tha, naa aaj hai

Abb toh main ek adhoora sawal hoon
Bheegi palkon ka ek khayal hoon
Yaddon ke sehar se tera mausam nahin gaya
Main toota hua, adhoora jawaab hoon

----------- GOOD-----BYE------------

Thursday 26 July 2012

Kismat....



Mujhe woh bhi andar se kuch tuta tuta lagta hai
Ajj bhi woh mujhe kisi se ruswa lagta hai
Kya ghum hai usne kabhi bataya nahin
Uske kismat mein bhi kisi ka saath choota choota lagta hai
Muskurata toh woh bhi ghum chupane ke liye
Likhta woh bhi ghum ko nikaalene ke liye
Kaash kalam se hum apni kismat likhte
Apni apni kismat hum badal lete....... :(


Wednesday 25 July 2012

Kaminey....



Kisse ajj phir purane yaad aa gaye
Kuch nagme, kuch chehre dil par chha gaye
Kuch toh baat thi kamino mein
Jo dil mein ghar banna gaye
Duniya waale kabhi doodh naa paaye unn yaado ko
Chuppa ke rakha hai aise konne mein dil ke
Takalluf kya de kamino ko hume yaad karne ki
Hum hi yaad kar lete hai kamino ko phir se,
woh hi kaafi hai hum jaise kamino ke liye.... :)


Tuesday 24 July 2012

Tasaliyaan...



Yaadien kuch dheemi ho rahi hai zehan se unke
Inhi yaado ke sahare toh abb hum zindgi beeta rahe hai
Waqt toh abhi kum hi hua hai
Sayad woh hi kuch khaffa hai humse
Maana ki chehre pe muskurahat hai mere
Par dil mein ghum toh wahi purana hai
Ae-zindgi khatam kar ye yaadon ke silsilay
Main thak gaya hoon dil ko tasaliyaan detay detay.. :(


Monday 23 July 2012

Botal....



Khuli botal ho, Khula aasmaan ho
Baaki dil kush karne ka saara saaman ho
Raat ke 11 baje saaje yaaro ki mehfil
Pee kar sab taali yaaro, jhume masti me yaaro
Yeh jawani phir nahin aani yaaro
Do din ka kissa, Do din ki kahani yaaro


Sunday 22 July 2012

Guftagu....



Labon se kabhi tute nahin guftagu ke rishtey
Main dekhta tha toh bas dekhta hi rehta tha
Gaur kabhi unno ne kiya hota toh kuch jaan bhi lete
Par kabhi humne nikale naa diya guftagu ko dil se
Jab woh dekhti thi, toh hum anjaano ki tarah naazare jhuka lete the
Jab woh chale jaate the aage,toh hum unke kadmoon ko apna bna lete the
Abb toh yeh aalam hai,Mohabbat ek se karni thi
Par do se ho gayi,Ek unse aur Ek unke khayal se



Saturday 21 July 2012

Zulfien....



Khulti Zulfon Ne Sikhayee
 Mausamon Ko Shayaree
Jhukti Aankhon Ne Bataya
 Maikashi Kya Cheez Hai
Hum Labon Se Keh Na Paaye
 Unse Haal-E-Dil Kabhi
Aur Woh Samjhe Nahin
Ye Khamoshi Kya Cheez Hai
Ishq Ki Jaye Phir Samajhiye
Zindagi Kya Cheez Hai...

Friday 20 July 2012

Khawaab....



Kal raat dekha ek khawaab
Khawaab mein aaya tu yaad
Abb sochta hu tumhe kum karu yaad
Abb bas tu yaad aata hai har saans ke baad
Yahi sooch ke main chup rahu
Teri jeet hai meri haar ke baad
Kabhi manzile jo juda huyi
Kabhi raaste humare badal gaye
Socha ki abb bhulta rahe tu
Jaise sharab uttre tere deedar ke baad


Monday 16 July 2012

Dastan-E-Mohabbat.....



Royien hai teri yaad mein saari raat badal banke
Umeed hai yeh baarish tere seher bhi pahunche
App toh chup se ho gaye humse chan lamhe baat karke
Hum kuch bhi naa bol paaye saara din soch ke
---------------------------------------------------happy

Zindgi yuh basar huyi hai meri tanha
Kaafila sang tha mere phir bhi main tanha
Abb toh apne saaye se hi chaunk jaate hai
Umar basar huyi hai mere yuh tanha
-----------------------------------------ghalib

Abb toh log bhi samajne lage hai mere dil ki halat
Abb toh mujhse bhi tere ishq ki hifaazat nahin hoti
Bahut khubsurat hai har baat aapki
Lekin dil bhi khaali hota toh kya baat hoti
Likhi jaate phir Dastan-e-Mohabbat
Ik afsaane jaise mulaqat hoti...  :( :(
---------------------------------------happy

Sunday 15 July 2012

Maa....



Safar-e-zindgi mein kuch paaya kuch khoya
Lekin abb tujhe khona nahin chahta maa
Halat-e-zindgi ne kabhi hasaya kabhi rulaya
Lekin abb tujhe rulana nahin chahta maa
Teri bachpan ki woh lori aksar yaad aati hai
Issi liye teri goad ke elawa kahin aur sona nahin chahta maa
Dard hota hai toh dil se aawaz aati hai maa
Takleef hoti hai toh sabse pehle teri yaad aati hai maa
Jab is beghairat duniya nee chod diya bewaffa keh ke
Phir mujhey teri yaad aati hai maa
Bas ek dafa teri goad mein sar rakh kar sona chahta hoon maa
Bahoot Dard ho rha hai, teri goad mein rona chahta hoon maa
Kimat-e-aansoo ye duniya waale nahin jaante maa
Yeh toh wahi jaane jo kisi ke roone pe roya ho maa.....maa....


Saturday 14 July 2012

Sakoon....


Jaa hamesha mujhe chod ke janay waale
Tujh se har lamha judaii ka darr toh khatam hua
Abhi toh ikhitiayari hai, toh yeh aalam hai
Mohabbat farz hoti, toh kya hota
Phir palat ke aayi hai baarish ki bheegi raatien
Phir teri yaad mein jalnay ka zamana aa gaya
Kya milaal hai baarish ka jo aag humari bhujaye
Hum toh dil ke jale hai, woh mile toh sakoon aaye..


Friday 13 July 2012

Husna....



Lahore ke uss
Pehle jile ke
Do pargana mein pahunche

Resham gali ki
Dooje kuche ke
Chauthe makaan mein pahunche

Aur kehte hai jisko
Dooja mulk uss
Pakistan mein pahunche

Likhta hun khat mein
Hindustan se
Pehlu e Husna mein pahunche
O Husna

Main to hun baitha
O Husna meri
Yaadon purani mein khoya

Pal pal ko ginta
Pal pal ko chunta
Beeti kahani mein khoya
Patte jab jhadte Hindustan mein
Yaadien tumhari ye bolein
Hota ujala, Hindustan mein, batein tumhari ye bolein
O Husnaa meri yeh to batado
Hota hai aisa kya
Uss gulistan mein
Rehti ho nanhee kabutar see gum tum jahaan
O Husna

Patte kya jhadte hain Pakistan mein
Vaise hi jaise jhadte yahaan
O Husna

Hota ujala kya vaisa hi hai
Jaisa hota Hindustan mein haan
O Husna

Woh heeron ke ranjhe
Ke nagmein mujhko
Ab tak aa aake sataien
Woh Bulley Shah ki
Takriro ki, jheene jheene saaye
Woh Id ki iddi
Lambi namazey
Seyvaiyon ki jhaale
Woh Diwali key diye sang mein
Baisakhi ke badal
Holi ki woh lakdi jinmein
Sang sang aanch lagai
Lohdi ka woh dhuan jis mein
Dhadkhan hai sulgai
O Husna meri ye toh batado
Lohdi ka dhuan kya ab bhi nikalta hai
Jaisa nilkalta tha uss daur mein vahaan
O Husna

Dhuan mein gulstan yeh barbaad ho raha hai
Ik rang sya kaala, ejad ho raha hai
Ke heeron ke ranjhon ke
Nagmein kya ab bhi
Sune jaate hai haan vahaan
O Husna

Aur rota hai raaton mein
Pakistan kya vaise hi jaise Hindustan
O Husna

Thursday 12 July 2012

Hi! kaise ho....



Abb toh thak sa gya hu unnse rutwa ho ke
Kabhi woh bhi kush karde hume 'Hi! kaise ho' bol ke
Umeed toh hum roz hi karte hai jab woh onlyn hote hai
Aakhir mein hum hi haar jaate hai unse mustbill hoke
Naadan-e-Dil hai apna jo unke naam se dhadkata hai
nahin toh hum toh kab ke soo jaate apni saanse rok ke


Wednesday 11 July 2012

Alvida....


Phir kehte hai alvida, Kehte hai alvida
Abb un rahoon ko jin par abb tera nishaan nahin
Abb mehak loon un hawoon mein jisme tu mehakta tha
Abb tham loon un paloon ko jinme tu muskurata tha
Pal beet gaye, Yaadien kuch de gaye nishaniyan
Alfaaz adhoore naa hote toh aaj kahani apni bhi poori hoti
Anjaan woh naa hote toh kahani apni bhi mukhtasar hoti
Abb uss muqaam par hoon ki dil bewaafa ho gaya
Hum Thamte hi reh gaye aur woh unke saath ho liya


Monday 9 July 2012

Zakam....



Mujh ko tere chehre pe gum ache nahin lagte
Door chale jayege hum agar hum ache nahin lagte
Zakam aisa dena jo umar bhar bhare naa
Zakam jo jaldi bhar jaye woh abb ache nahin lagte
Har gazal mein tumhe likha hai, mera dastoor hai
Lekin, sari mehfil mein tere charche ache nahin lagte
Abb aise muqaam par aa phuncha hoon main
Abb tumhare chahne waale ache nahin lagte....


Sunday 8 July 2012

kalam....


Naa kalam se rista , naa shayahi se vaasta
naa koi manzil thi, naa koi raasta
tere ishq ne uss muqaam  pe laa khada kiya
aaj haath me kalam hai, aur mujhe shayar bana diya
------------------------------------------ghalib

Saturday 7 July 2012

Ye Dooryian ....


Ye dooryian, Ye faasle main mitta naa saaka
Jo chala gaya door usse maana naa saaka
Woh kuch ajeeb sawal tha, Jo meri samaj mein aa naa saaka
Mera saakon, Mera junoon tha woh, Yahi baat usse bata naa saaka
Yahi sochta tha raat bhar, Woh mile mujhe kabhi raah par
toh karuga uss se shikayatien, Par jab woh mila toh lab bhi hilla naa saaka
---------------Main usse bhula naa saaka------------------------

Friday 6 July 2012

Mishri....

Jabse tere naam ki mishri honth lagai hai
Meetha sa ghum hai meethi se tanhai hai
Tum pukkaar lo tumhara intezaar hai
Dil behaal ho jayega tumara iss khayal se 
Haal mil gaya tumhara apne haal se
--------------------------------------------------------------Gulzar

Thursday 5 July 2012

Manzile....





        Yaari hai apni chirago ki tarah jo aandiyon mein bhi jala karti hai
        Kabhi toote naa yaari itna himmat-e-hausala hum bhi rakhte hai
        Manzilon abhi door hai humari manzil
        Chaand sitare toh raaho mein mila karte hai
        Tairana hai toh saagar mein tairo yaaro kinaaro mein kya rakha hai
        Mohabbat karni hai toh yaari se karo, ladkiyon mein kya rakha hai ... :P :P

Wednesday 4 July 2012

Zindgi....



                 
                      Zindgi ne har kadam par zakam diye
                      Kabhi sawaloon ke, toh kabhi faislon ke sile diye
                      Ae-zindgi abb toh sulajh jaa, abb na yu tadpa
                      Phir bhi tune kabhi manzillo ke toh kabhi mohabbaton ke ghum diye
                      Ae-dost zindgi ki sham hai, raat mein badal ke dhal jaayege
                      Aaj ghum hai toh kal khushi mein badal jayege
                      Hum bhi toh hai jo zindgi unke naam se guzaar rahe hai                      
                      Nahin toh hume guzare huye zammana ho gaya...

                 

Tuesday 3 July 2012

Ibadat....

                       
                          Gunaami ke andhere gherne se lage hai,
                          App humse muhh pherne se lage hai,
                          Shikayat kya kare app se, jo mizaaz hi aap ka chup sa hai,
                           Ibadat kya kare khuda se, jo woh bhi humse khaffa sa hai,
                           Daar hai inn andhero mein hum kho naa jaye,
                            ------ app se judda ho naa jaaye ..--------